ya zehra ya zehra ya zehra aajao
bich gaya farshe aza fatema zehra aao
chand nikla hai moharram ka rulane ke liye
kisi mazloom ki roodad sunane ke liye
sog ujde huwe qaimon ke manane ke liye
aagaya maahe aza fatema zehra aao
bich gaya farshe aza...
aasmano se malak aaye payambar aaye
chod kar shehre najaf hyder o safdar aaye
nange paa majlise shabbir mein shabbar aaye
safe matam hai bapa fatema zehra aao
bich gaya farshe aza...
hum ne haq se ghame sarwar ki baqa maangi thi
jo na murjha sake wo falze aza maangi thi
hum wo hai jin ke liye tum ne dua maangi thi
sunli khaaliq ne dua fatema zehra aao
bich gaya farshe aza...
phir azadaron ke ghar badle gulistano mein
nazb hone lage wo patke azakhano mein
jamma hone lage atfaal bhi daalano mein
taaziya sajne laga fatema zehra aao
bich gaya farshe aza...
hum azadaron ke upar hai karam ghazi ka
abhi panje se numayan hai hasham ghazi ka
ghame sarwar ka muhafiz hai alam ghazi ka
dekho ghazi ki wafa fatema zehra aao
bich gaya farshe aza...
kabhi royi kabhi sambhli kabhi uthi zainab
saath mein ahle haram ke kabhi jaagi zainab
isi majlis ke liye aap ki beti zainab
de gayi apni rida fatema zehra aao
bich gaya farshe aza...
qatl suraj hua din gham mein dhala shaam hui
qaime jalte hai sar e dashte bala shaam hui
qaid hone koi bemaar chala shaam hui
ban mein ek hashr utha fatema zehra aao
bich gaya farshe aza...
zulmate shaame alam hai koi jugnu bhi nahi
laashe sarwar pe diya kaisa ke aansu bhi nahi
kaun matam kare abbas ke baazu bhi nahi
ro padi karbobala fatema zehra aao
bich gaya farshe aza...
bhai maare gaye behno ki giraftaari hai
ek nayi karbobala ke liye tayyari hai
ye ghadi aap ki zainab pe bahot bhaari hai
hausla dedo zara fatema zehra aao
bich gaya farshe aza...
aap ka laal hai wo baadhshahe jinn o bashar
ambiya bhi hai azakhane ke darwaze par
aaye hai nayyar o aamir bhi sawali ban kar
kar do in par bhi ataa fatema zehra aao
bich gaya farshe aza...