hamare lahoo ki sada karbala
dilon par hai likha hua karbala
hussain ya hussainan hussain ya hussain
muqaddas duaon ke paale hai hum
ke farshe aza ke ujaale hai hum
zamana bohat dekhe bhaale hai hum
sitam se kahan darne waale hai hum
hame de gayi hausla karbala
hamare lahoo ki sada karbala
hussain ya hussainan...
azadaron tum haq ki jaanib badho
hussaini ho khud ko hussaini kaho
chalo raahe karbobala par chalo
ke izzat se jeene ka waada karo
tumhe de rahi hai dua karbala
hamare lahoo ki sada karbala
hussain ya hussainan...
hame fakhr hai hum azadaar hai
shahadat dilon ke parastaar hai
sar apna katane ko tayyar hai
hai zanjeer mein phir bhi mukhtar hai
ke hum par hai teri ata karbala
hamare lahoo ki sada karbala
hussain ya hussainan...
qasam khao dil dil se jodenge hum
hussain aap se moo na modenge hum
kaleje se barchi ko todenge hum
yazeedon ko zinda na chodenge hum
dil o jaan tujh par fida karbala
hamare lahoo ki sada karbala
hussain ya hussainan...
hussain aap hai mustafa ka jamaal
tamanna e zehra ali ka kamaal
libaas e bashar mein khuda ka jalaal
khuda ki tarha hashr tak be-misaal
yaqeenan hai ek maujiza karbala
hamare lahoo ki sada karbala
hussain ya hussainan...
har ek mulk me hai hussaini nishan
hai masroof majlis mein har ek zaban
jahan dekhiye farshe gham hai wahan
hai kitna bada haq ka ye karwan
hai phaili hui jaa baja karbala
hamare lahoo ki sada karbala
hussain ya hussainan...
faza majlison ki hai kitni bhali
har ek zindagi hai wafa mein dhali
hawa zikre sarwar ki aisi chali
sada aayi har simt se ya ali
kaha badh ke kaabe ne ya karbala
hamare lahoo ki sada karbala
hussain ya hussainan...
juda ab bhi bharat teri shaan hai
yahan laal zehra ka mehman hai
ye ganga bhi ashkon ka wardaan hai
ho pyason pe qurban ye armaan hai
hai hindu ke ghar taziya karbala
hamare lahoo ki sada karbala
hussain ya hussainan...
ho nayyar pe aamir pe ya rab karam
salamat rahe ye zaban ye qalam
saron par hamare rahe ye alam
ke naslon mein baaqi rahe sheh ka gham
jo aaye unhe bhi dikha karbala
hamare lahoo ki sada karbala
hussain ya hussainan...