khana e hyder mein bapa shor e buka hyder
wavaila haye wavaila
qatle ali ke kahabr aayi jo masjid se ghar
goonj tuhi naala o shewan ki sada hyder
khana e hyder mein bapa...
kufe ki bewaon yateemon ka hai nauha
qatl hua aaj ghareebon ka sahara
karte hai nauha yehi saare masakeen bhi
gham ke aseeron ka maseeha na raha hyder
khana e hyder mein bapa...
zainab o kulsoom ye deti hai duhaai
kyun bine muljim ne jafa aap pe dhaayi
kaisi qayamat hai ye taaza musibat hai ye
roti hai jibreel ke nauhe pe fiza hyder
khana e hyder mein bapa...
kufe ke ghar ghar mein ye kohraam bapa hai
khoone ali sajda e khaaliq mein baha hai
rote hai jinn o bashar hai ye fughan arsh par
marqad e zehra o nabi kaamp utha hyder
khana e hyder mein bapa...
kaise lafzon mein bayan hoga shahadat naama
khaak udaate thay haram mehwe buka thi fizza
haye ekkeeswi ramzan thi wo wavaila
ghar mein zehra ki hui kaisi qayamat barpa
kehte thay ahle haram taaza tha zehra ka gham
kar gaye dunya se safar aqda kusha hyder
khana e hyder mein bapa...
ghazi alamdar ki faryaad yehi hai
karbobala hogayi aaghaaz yahin se
daaghe yateemi mila nauha hai shabbir ka
bain ye karte hai hassan sabz qaba hyder
khana e hyder mein bapa...
utha janaza to bapa hogaya mehshar
sar pe na thi zainab o kulsoom ke chadar
kehti thi roohe nabi zehra ne faryaad ki
lagta hai ashoor ka din ye bakhuda hyder
khana e hyder mein bapa...
ye wo gham hai ke nahi jiska madawa mazhar
farshe majlis pe hua nauha kuna yun safdar
kyun na is roz ho ashoor ke jaisa manzar
taygh maula pe chali aur hamare dil par
zabt kare kaise hum gham hai bada umr kam
hashr talak aati rahegi ye sada hyder
khana e hyder mein bapa...