namak se roti kha ke khwahishon ko chod kar
hazaar sakhtiyon ke bawajood ye safar
thakan ki fikr hai na mausamon ka kuch asar
qudoom choomti hai zaairon ki rahguzar
alam utha ke dosh par labon pe hai sada
salaam ya hussain salaam ya hussain
karbala chehlum manane jaa rahe hai khafile
shaah par aansu bahane jaa rahe hai khafile
wo zameen dekhenge jaa kar jo ke hai jannat nazeer
ghar luta kar jis zameen par sogaye gham ke aseer
us zameen par sar jhukane jaa rahe hai khafile
karbala chehlum manane...
qaimagah e zainab o kulsoom aur nehre furaat
har jagah majlis karenge chaahe din ho ya ke raat
deep ashkon ke jalane jaa rahe hai khafile
karbala chehlum manane...
girya o zaari karenge yun kafe abbas par
ho fida jaanein hamari aat din ki pyaas par
bas yehi nauha sunane jaa rahe hai khafile
karbala chehlum manane...
jis ko kehte hai maqam e hamshabihe mustafa
pursa denge umme laila ko wahan ahle aza
farshe gham har jaa bichane jaa rahe hai khafile
karbala chehlum manane...
jis jagah jhoola rakha hai aaj tak baysheer ka
marsiya jaa kar padhenge hum dil e shabbir ka
mannatein apni badhane jaa rahe hai khafile
karbala chehlum manane...
hum pyada jayenge najaf se karbala
ishq ka safar karenge ho ke ghamzada
mausamon ki fikr hogi aur na thakan
sab jawan o peer honge ishq mein magan
raah ke moaqqibon mein hogi shab basar
maayein behnein ba-hijab hogi humsafar
is fareeze ko nibhane jaa rahe hai khafile
karbala chehlum manane...
karbala ke khafile mein safdar o mazhar bhi hai
phir to wajib hai safar mein bas yehi nauha padhe
karbala chehlum manane jaa rahe hai khafile
karbala chehlum manane...