Kanz e Aza

Karbala Mein Aayi Hoo

A noha for Arbayeen, written by Majid Raza Abidi. Lyrics in Roman Urdu.

mai chut ke shaam se ab karbala mein aayi hoo

tumhari qabr pe ashkon ka tohfa laayi hoo


tumhari thi jo amanat mai usko laa na saki

usay tamachon ki zemhat se mai bacha na saki

mai uski qaid mein turbat bana ke aayi hoo

mai chut ke shaam se...


tumhara kurta siya tha jo amma zehra ne

wo jisko loot liya waqt e asr aada ne

mai shaam se wohi kurta bhi saath laayi hoo

mai chut ke shaam se...


lo aagayi hai ye khwahar utho utho bhaiya

mai aur chal nahi sakti sahara do bhaiya

rasool ki hoo nawasi falak satayi hoo

mai chut ke shaam se...


ay bhai hum bhare darbaar se guzaare gaye

ghazab to ye hai ke pathar bhi humko maare gaye

nishan e zakhm jabeen par saja ke laayi hoo

mai chut ke shaam se...


imam e waqt ye masoom abid e bemaar

har ek gaam pe jisne uthaye hai aazaar

mai jalte sholon se usko bacha ke laayi hoo

mai chut ke shaam se...


wo mere aun o mohamed wo qasim o akbar

mai saath laayi hoo in sab ke bhi kate huwe sar

tumhara sar bhi badan se milaane laayi hoo

mai chut ke shaam se...


kab uthi roti hui qabre sheh se binte ali

ye bain karti hui tab suye furaat chali

jo mujhpe guzri ay ghazi sunaane aayi hoo

mai chut ke shaam se...


wo qabre shaah wo chehlum ka din wo zainab e zaar

ye nauha goonj raha tha ay majid o mukhtar

salaam karne shaheedon mai tumko aayi hoo

mai chut ke shaam se...