veeran hua mera ghar zehra tumhare baad
kaise jiyega hyder zehra tumhare baad
mayyat pe sayyeda ki hyder ne ye pukara
lo jaa rahi zehra
ay bachon aakhri hai dedaar fatema ka
lo jaa rahi zehra
haq maange wo pahunchi par khaali haath lauti
darbariyon se boli
ab khaali haath ho kar tum sab gawaah rehna
lo jaa rahi zehra
mayyat pe sayyeda ki...
sholon ki zad pe aa kar darwaza jal chuka tha
zehra pe gir raha tha
bas ek sada ye aayi fizza mujhe bachana
lo jaa rahi zehra
mayyat pe sayyeda ki...
wo chote chote bache dar ko hata rahe thay
maa ko bacha rahe thay
maa keh rahi thi bachon haafiz ali tumhara
lo jaa rahi zehra
mayyat pe sayyeda ki...
aayi shab e shahadat zehra ne ki wasiyat
suniye shahe wilayat
bache hai mere chote inka khayaal rakhna
lo jaa rahi zehra
mayyat pe sayyeda ki...
zainab se roke boli tum mere baad ghar mein
maa ki jagah ho beti
sarwar jahan bhi jaaye tum saath saath jaana
lo jaa rahi zehra
mayyat pe sayyeda ki...
ye mere charon bache aur mera sab gharana
tere hawale fizza
tujhko to karbala tak inke hai saath jaana
lo jaa rahi zehra
mayyat pe sayyeda ki...
afsos muslimon ne yasrab mein dar jalaya
karbal mein ghar jalaya
wo thi shab e ghariban jab keh rahi thi zehra
lo jaa rahi zehra
mayyat pe sayyeda ki...
mukhtar aur majid ek karb hai musalsal
ye fikhra sayyeda ka
shiyon ko ya ali tu mera salaam kehna
lo jaa rahi zehra
mayyat pe sayyeda ki...