luti dunya ali e murtuza ki
shahadat ho gayi hai sayyeda ki
khadija khuld mein nauha kuna hai
duhaai de rahi hai wo khuda ki
luti dunya ali...
mila baagh e fidak ka dil ko sadma
sitam ye aur mohsin ne qaza ki
luti dunya ali...
hai gham mein mubtila rooh e payambar
lehad tharra rahi hai mustafa ki
luti dunya ali...
milayzakhmon pa usko zakhm itne
zaroorat thi bahot jisko dawa ki
luti dunya ali...
tha mayyat par yehi zainab ka nauha
saza paayi hai hum ne kis khata ki
luti dunya ali...
kaha hasnain ne qabr e nabi par
aray nana meri maa ne qaza ki
luti dunya ali...
ba waqte ghusl e mayyat roye hyder
shikasta phasliyan thi ehliya ki
luti dunya ali...
na le kar jaaiye maadar ko meri
padar se betiyon ne ilteja ki
luti dunya ali...
madina ro raha tha khoon ke aansu
uthi mayyat jo ghar se fatema ki
luti dunya ali...
musmalmano na maaro is pa pathar
ke mayyat hai ye binte mustafa ki
luti dunya ali...
gham e zehra mein girya ho raha hai
moharram hai safon mein ambiya ki
luti dunya ali...
rasool e paak ka gulshan hai zad mein
sitam ki aag hai aisi bala ki
luti dunya ali...
ghame sheh par raza kyun kar na roye
haqeeqat jaante hai karbala ki
luti dunya ali...