maa kehti thi ro ro kar so jao mere beta
masoom mere asghar so jao mere beta
hai karbobala mehshar so jao mere beta
nazron se layeeno ki mai tum ko bacha leti
mamta bhare aanchal ke saaye mein chupa leti
majboor hai ye maadar so jao mere beta
maa kehti thi ro ro kar...
aise mein sabhi apne maujood sahare hai
hai paas ali akbar ammu bhi tumhare hai
hai waqt yehi behtar so jao mere beta
maa kehti thi ro ro kar...
bechain tera chehra kis kis se chupaungi
gar pooch liya sheh ne kya unko bataungi
socho to zara dilbar so jao mere beta
maa kehti thi ro ro kar...
jaagoge agar aise ghabra ke mai ro doongi
sookhe tere honton ko ashkon se bhigo doongi
ay jaane dile maadar so jao mere beta
maa kehti thi ro ro kar...
ye sochti hoo beta tum par na sitam dhaaye
soye huwe bache par shayad ye taras khaaye
zaalim hai bahot lashkar so jao mere beta
maa kehti thi ro ro kar...
aakhein hai tere neeli surat hai teri pyari
uljhe huwe gaysun par maa sadqe ho maa waari
sashmaah mere asghar so jao mere beta
maa kehti thi ro ro kar...
ashoor ko kal ran mein ek hashr bapa hoga
har simt se goonjega ek shor qayamat ka
neend aayegi phir kyun kar so jao mere beta
maa kehti thi ro ro kar...
maehsoos karo beta ek maa ki pareshani
kya doo mai tumhe ghar mein ek boond nahi pani
bas ashkon ke hai saagar so jao mere beta
maa kehti thi ro ro kar...
bache bhi kabhi maa se hote hai khafa aise
kya rooth'ta hai koi apno se bhala aise
dukhiya pe taras kha kar so jao mere beta
maa kehti thi ro ro kar...
kya baat hai kyun chup ho kuch moo se kaho beta
bechain tumhe itna pehle to nahi dekha
jo dil mein hai wo keh kar so jao mere beta
maa kehti thi ro ro kar...
kin uljhano mein ho tum ek shab ke mere mehman
ho jayegi kal ran mein mushkil teri har aasaan
jaaoge lab e kausar so jao mere beta
maa kehti thi ro ro kar...
jangal hai biyaban hai har simt andhera hai
jaana hai bahot aage aur door ujaala hai
samjhaun tumhe kyun kar so jao mere beta
maa kehti thi ro ro kar...
ye arz o samaa kya hai rote hai falak taare
ghamgeen hai sabhi hoorein rote hai malak saare
ye bain raza sun kar so jao mere beta
maa kehti thi ro ro kar...