maa kehti thi seene se laga loo tujhe aaja
ek baar to phir laut ke asghar mere aaja
maa kehti thi…
furqat mein teri neend bhi aati nahi beta
ab kis ke sahare pe ye maadar jiye aaja
maa kehti thi…
hai ab to mere haath bhi azaad rasan se
aa godh mein loo dil mein chupa loo tujhe aaja
maa kehti thi…
sunti hoo ke ab nehr pe pehra bhi nahi hai
aa pani pila laa'un tujhe nehr se aaja
maa kehti thi…
sughra tujhe poochegi to kya us se kahoongi
bin tere na jaa'ungi watan shaam se aaja
maa kehti thi…
kyon kar ye bataungi laga halq pe naawak
kya keh ke bhala doongi tasalli usay aaja
maa kehti thi…