nusrate shaah mein har dard bhari maa ko salaam
ek wo maa wohi athara baras waale ki maa
jis ne marne ke liye bhej diya apna jawan
naiza seene mein laga lut gaye saare armaan
shakl laila mein usi sabr ke quran ko salaam
maa ko salaam
nusrate shaah mein…
ek wo maa ke pisar jiska tha nanha sa sagheer
jiske bacche ko mila pani ke badle ek teer
jisne khud bante huwe dekhi thi qabr e baysheer
ay rabab aap ko aur kushta e paikan ko salaam
maa ko salaam
nusrate shaah mein…
ek shabbar ki wo bewa wo umme farwa
jisne tukde huwe qasim ka sarapa dekha
ashk barsaati rahi par kabhi shikwa na kiya
bibi farwa ko aur us kushta e aspa ko salaam
maa ko salaam
nusrate shaah mein…
zainabe khasta jigar aun o mohamed ki wo maa
bhai par sadqe kiye jisne do maahe taaban
laashein jab qaime mein aaye kiya shukre yazdan
jis mein zehra ki shabahat thi usi maa ko salaam
maa ko salaam
nusrate shaah mein…
laash jab ausaja ki aayi dar e qaima par
zauja e ausaja ne bhej diya apna pisar
haye wo chota sipahi wo bhayanak lashkar
tha ye jiske liye jazba usi insan ko salaam
maa ko salaam
nusrate shaah mein…
ay rabab aap pe ye dohri musibat aayi
halq asghar ka chida qaid sakina bhi hui
godh mein apni jala jhoola liye baithi rahi
karbala mein jo bacha tha usi saaman ko salaam
maa ko salaam
nusrate shaah mein…
karbala mein to har ek maa ka yehi jazba tha
pisar e zehra pe hojaye pisar mera fida
aaj ke daur mein jis maa mein bhi hai ye jazba
uski mamta ko salaam uske har armaan ko salaam
maa ko salaam
nusrate shaah mein…
gar tumhe nemat e aulaad khuda se ho ataa
lashkar e shaah ka tum usko sipahi kehna
uska har haal mein mazboot aqeeda rakhna
us se kehna ke kare waaris e quran ko salaam
maa ko salaam
nusrate shaah mein…
majid un maa'on pe hum sab ke ho maa baap fida
shadman rehti thi jo nusrat e sarwar mein sada
sheh pe qurban kiya apne jigar ka gosha
aise bacchon pe salaam aisi har ek maa ko salaam
maa ko salaam
nusrate shaah mein…