hai bekason ka ghareebon ka aasra abbas
wafa hai mulk to us mulk ka khuda abbas
janabe fatema zehra ka mudda'a abbas
janabe hyder e safdar ka aeena abbas
har ek simt do aalam me zikr hota hai
janabe fatema binte asad ka pota hai
abbas abbas abbas abbas
abbas abbas abbas abbas
har ek sawaal se pehle jawab dete hai
jo zarra maango to ye aaftab dete hai
koi jo khatra kahe behre aab dete hai
sakhi hai kaanto ke badle gulaab dete hai
yehi ruke huwe toofan ka ishara hai
furaat par abhi abbas ka ijaara hai
abbas abbas...
usi furaat pe maare gaye ba- dard o malaal
pahunch ke laash pe sarwar ne tab kiya ye malaal
abhi mai poora karunga agar ho koi sawaal
jari ye ro ke pukara ke ay batool ke laal
laga hai aankh mein jo teer usay hata dije
huzoor apna ye chehra mujhe dikha dije
abbas abbas...
kaha ye aur suye firdaus chal diya ghazi
labe furaat har ek mauj khoon bahati rahi
ye choonke hazrate abbas ki wasiyat thi
jo laash saahil e darya pe shaah ne chodi
ye kehte jaate thay kis tarha ab jiye shabbir
alam ko leke suye qaima chal diye shabbir
abbas abbas...
tamam bacchon ne haathon se kooze phaynk diye
alam se haye chacha keh ke daud kar lipte
sakina boli chacha ko kahan pe chod aaye
na pani chahiye ab aur hai na pyaas mujhe
chacha ko ya to yahin par bula do ay baba
ya mujhko paas unhi ke par sula do ay baba
abbas abbas...
zaban e haal se zainab pukari ay bhai
ho tum pe khwahar e dilgeer waari ay bhai
suno to aake hamari bezaari ay bhai
kahin lute na ridayein hamari ay bhai
magar hua wohi zainab ko jiska dhadka tha
jo shaam aayi to na chadar thi aur na parda tha
abbas abbas...
kisi ke sar pe na baaqi rida thi ay majid
ajeeb tarha ki jor o jafa thi ay majid
ke ashk afshan wo chashme khuda thi ay majid
ke taaba shaam haram ki sada thi ay majid
kahan ho ab paye imadad aao ay abbas
hamay sitam se layeen ke bachao ay abbas
abbas abbas...