kohraam hai taboote hassan uth'ta hai ghar se
kulsoom buka karti hai lipti hui dar se
ay waaye musibat
zainab ne kiye peet ke sar baal pareshan
khoon behta hai ashkon ki jagah deeda e tar se
ay waaye musibat
kohraam hai taboote hassan...
ek hashr hua charkh se girne lage taare
tukde jo gire tasht mein shabbar ke jigar se
ay waaye musibat
kohraam hai taboote hassan...
qasim jo jawan hote huwe karbobala tak
dekhenge hassan bete ko farwa ki nazar se
ay waaye musibat
kohraam hai taboote hassan...
jaate huwe shabbir se shabbar ne kaha tha
ab kashti e deen tumko bachana hai bhawar se
ay waaye musibat
kohraam hai taboote hassan...
bas ek janaza hai ye dunya mein hassan ka
do baar uthaya jo gaya ek hi ghar se
ay waaye musibat
kohraam hai taboote hassan...
dil seene mein majid na teher payega us dam
dekhe koi is gham ko shahe deen ki nazar se
ay waaye musibat
kohraam hai taboote hassan...