Laasha jab sibt e payambar ka uthaaya hoga.
Khuldh me chain mohd s.a ko na aya hoga.
1) sar khule lahed se tab fatema nikli hogi.
Zaher jodha ne jo shabbar a.s ko pilaaya hoga.
2) qabr me hasan a.s is waqt hi utre honge.
Maa ne jab daaman e tatheer bichaaya hoga.
3) dil ke sab hasan ne armaan nikaale honge.
Sehra qasim a.s ko khayaloo me lagayaa hoga.
4) dastaan hasan ne apni jo sunaaihogi.
Maa ne ro ro ke kaleje se lagaya hoga.
5) jo ke madar ke janaze pe na ghar senikli.
Kaise beemaar unhe shaam me laaya hoga.