wa ghurbata wa musibata
sheh ko yun abbas ka bikhra hua laasha mila
do bureeda baazuon ke saath mashkeeza mila
sheh ko yun abbas ka bikhra hua laasha mila
bibiyon mein wa-hijaba ka ajab kohraam tha
raaste mein bawafa ka jab kata shaana mila
sheh ko yun abbas ka...
haath malte reh gaye shabbir o zainab dasht mein
ek ghatri mein simat kar maa ko jab dulha mila
sheh ko yun abbas ka...
jis ka jee chaaha sakina ko tamache maarta
yun musalmano se usko baap ka pursa mila
sheh ko yun abbas ka...
mutthiyan kholi gayi bano ki jab marne ke baad
raakh jhoole ki mili aur khoon bhara kurta mila
sheh ko yun abbas ka...
boli zainab qaid khane ki ghutan apni jagah
shukr hai saydaniyo ko kam se kam parda mila
sheh ko yun abbas ka...
bebasi se gir gaye shabbir jalti rayt par
laasha e akbar par jis dam qasid e sughra mila
sheh ko yun abbas ka...
uth gaye tazeem mein ummul baneen ke laal ki
naam le kar koi abid se jo ghazi ka mila
sheh ko yun abbas ka...
hum ne bas darvaish maangi marzi e maula e hussain
warna dar se bawafa ke jis ne jo maanga mila
sheh ko yun abbas ka...