laasha e abbas tanha reh gaya
dekh kar darya tadapta reh gaya
jab gira ghoday se saqqa e haram
qalbe zehra ran may rota reh gaya
laasha e abbas...
chid gayi mashke sakina zulm se
pyase bache khaali kooza reh gaya
laasha e abbas...
kham hui is gham se sarwar ki kamar
chashme tar se khoon tapakta reh gaya
laasha e abbas...
us taraf pyasi sakina reh gayi
is taraf laasha tadapta reh gaya
laasha e abbas...
roke kehti thi chacha aajaiye
lab pe uske bas ye nauha reh gaya
laasha e abbas...
sunte hi bhai ke marne ki khabar
phat ke zainab ka kaleja reh gaya
laasha e abbas...
wo nigehbane haram jabse gaya
tab se aafat hi may kunba reh gaya
laasha e abbas...
cheenli ghazi ne yun nehre faraath
hashr tak darya pe khabza reh gaya
laasha e abbas...
lut gaye dunya may kitne taqt-o-taaj
bas azakhana hi sheh ka reh gaya
laasha e abbas...
parchame islam aur abbas ka
har taraf dunya may charcha reh gaya
laasha e abbas...
ro rahi hai aaj bhi mauje faraath
ibne zehra haaye pyasa reh gaya
laasha e abbas...
nauha e gham kis tarha likhe bober
jab qalam hi uska rota reh gaya
laasha e abbas...