Kanz e Aza

Sajjad Rota Hai

A noha for Zain-ul-Abedeen (a.s), written by Mir Bober Ali. Lyrics in Roman Urdu.

sare bazaar zainab ka guzar sajjad rota hai

phata jaata hai sadme se jigar sajjad rota hai


sitamgar legaye jab shaam aur koofe ki galiyon se

aseeron par rahi sab ki nazar sajjad rota hai

sare bazaar zainab…


wo shiddat dhoop ki jalti zameen aur paon may chaale

sitam hai bekason par is khadar sajjad rota hai

sare bazaar zainab…


kabhi suraj ne dekha hi nahi tha jiske chehre ko

wo shehzadi ka beparda safar sajjad rota hai

sare bazaar zainab…


sakina kehti thi bhaiya ghuta jaata hai dam mera

tadapti hai wo gham se bepidar sajjad rota hai

sare bazaar zainab…


rasan basta phuphi hai aur gala mera hai rassi may

koi aakar hamari le khabar sajjad rota hai

sare bazaar zainab…


kisi soorat na tikta tha sare abbas naize par

yehi haalat thi bas shaam-o-sehar sajjad rota hai

sare bazaar zainab…


ghazab hai saat sau kursi nasheen darbar zaalim ka

ke jisme aale ahmed nange sar sajjad rota hai

sare bazaar zainab…


bober jab majlise shabbir hoti hai kisi ghar may

koi roye ya na roye magar sajjad rota hai

sare bazaar zainab…