Kanz e Aza

Tha Madine May Ek

A noha written by Mir Bober Ali. Lyrics in Roman Urdu.

tha madine may ek shor e girya

hogayi haye rukhsat khadija


bain karti thi ro ro ke zehra

hogayi haye rukhsat khadija


aap ke bin mai kaise jiyungi

ashk e gham hi faqad mai piyungi

ab bulaungi kisko mai amma

hogayi haye rukhsat...


sayyeda ke thay har waqt naale

chal gaye mere ghar se ujaale

chaa gaya hai ye kaisa andhera

hogayi haye rukhsat...


khoob kirdaar deen may nibhaya

bojh islam ka bhi uthaya

kho diya hum ne anmol heera

hogayi haye rukhsat...


ro rahi hai nabi ki dulaari

chal gayi ghar se maa ki sawari

uth gaya sar se amma ka saaya

hogayi haye rukhsat...


gham may doobe hai shaah e madina

phat raha hai bober sab ka seena

har jagah aaj matam hai barpa

hogayi haye rukhsat...