Kanz e Aza

Tha Qasim ke Laashe

A noha for Shahzade Qasim (a.s), written by Waiz Sultanpuri. Lyrics in Roman Urdu.

tha qasim ke laashe pe kubra ka nauha

ay sahab batao mai kya keh ke ro'un


phata jaa raha hai jigar gham se mera

ay sahab batao mai kya keh ke ro'un


meri maang ujdi hai ek pal mein waali

mai aayi hoon laashe pe ban ke sawali

nahi aata rone ka mujhko kareena

ay sahab batao...


rahe dil ke armaan mere dil mein ghut kar

ajab mod pe mujhko laaya muqaddar

bani kal suhagan hui aaj bewa

ay sahab batao...


jo guzri mere dil pe kaise bataun

ye rudaad e gham kisko ro kar sunaun

mai ek shab ki byaahi karun kaise naala

ay sahab batao...


hua soona ek pal mein maathe ka teeka

padha meri mehndi ka bhi rang pheeka

bohat aa raha hai muqaddar pe rona

ay sahab batao...


koi raasta to dikha jaate sahab

mai baithun kahan kuch bata jaate sahab

na sasural baaqi rahi aur na mayka

ay sahab batao...


khuda aisa din na kisi ko dikhaye

main jaise luti koi loota na jaaye

mere saamne aaya tukdon mein laasha

ay sahab batao...


muqaddar pe apne mujhe naaz hota

uthaate agar aap mera janaza

ajab mod pe aap ne saath choda

ay sahab batao...


ay waiz qayamat ka manzar tha us dam

kiya bibi kubra ne jis waqt matam

tadapta tha tukdhon mein qasim ka laasha

ay sahab batao...


sahab batao mai tumhe rona mein kya kahun

bekas kahun ke fidya e raahe khuda kahun

pyasa kahun shaheed kahun ya bana kahun

dulha kahun ki qasim e gulgun qaba kahun

choda dulhan ko laash pe rone ke waaste

dulha bane thay qabr mein sone ke waaste