Kanz e Aza

Yaad Aaogi Zahra

A noha for Shehzadi Fatima (s.a), written by Waiz Sultanpuri. Lyrics in Roman Urdu.

kaandhe pe liye binte payambar ka janaza

jab jane lage suye baqaiyya mere maula

tha kul ke madadgaar ke honton pe ye nauha

yaad aaogi zahra yaad aaogi zahra


jis waqt baqayya se mai ghar jaaunga zahra

phat jayega seene mein masayib se kaleja

darwaze pe pahunchunga to phir zabt na hoga

yaad aaogi zahra...


darwaze ki keelon pe nazar jayegi jis dam

bad jayega ay maadar e hasnain mera gham

chaa jayega hyder ki nigahon mein andhera

yaad aaogi zahra...


sadme ki churi dil pe har ek waqt chalegi

kunfuz ki jafa hashr talak yaad rahegi

jab jab bhi musalle pe mai tasbeeh padhunga

yaad aaogi zahra...


ghut ghut ke wo rona wo sisakne ki sadayein

wo dard ki shiddat wo aziyat wo karahein

mai bhool na paunga tumhara wo tadapna

yaad aaogi zahra...


har tarha se bacchon ko sambhalunga mai bibi

naazon se bade pyar se paalunga mai bibi

bin aap ke khayenge na jis waqt wo khaana

yaad aaogi zahra...


sadma mujhe mohsin ke guzarne ka rahega

aansu nahi aankhon se meri khoon bahega

aayega mere saamne jab bhi koi baccha

yaad aaogi zahra...


ghurbat mein musibat mein mera saath nibhaya

zakhmi thi magar mujhko layeeno se bachaya

yaad aayega har waqt ye ehsaan tumhara

yaad aaogi zahra...


taboot jo zahra ka rakha laa ke zameen par

roye hai bahot dayr talak saaqi e kausar

waiz tha yehi hyder e karrar ka naala

yaad aaogi zahra...