ye gham ki hai daastan aisi
ke jis mein hai dil fighaar zehra
koi bhi sunte hi ro ke kehta
mila tujhe kab qaraar zehra
pidar ke gham mein diya na rone
kabhi bhi ummat ne haye tujhko
wo keh rahe thay ke hai pareshan
na ro tum baar baar zehra
ye gham ki hai...
galay mein rassi ali ke baandhi
sitamgaron phir usko kyancha
wo shaahe khyber hai sabr uska
usi pe hai jaan nisaar zehra
ye gham ki hai...
jala ke ghar ko sataya behad
giraya darwaza jalta tujh par
shikam mein mohsin ko bhi hai khoya
hai zulm tujh par hazaar zehra
ye gham ki hai...
sitam jo guzre hai zaalimon ke
suna ke ehwaal saara apna
nabi ke rauze mein ro rahi hai
tadap ke lehlo nahaar zehra
ye gham ki hai...
chupa ke har gham ko dil hi dil mein
wo chal basi is jahan se ghut kar
hai mustarib dono betiyan bhi
ali bhi hai gham guzaar zehra
ye gham ki hai...
lipat ke hasnain ro rahe hai
ab utke amma jawab de do
tumhare bin hum jiyenge kaise
na dil ko hai ab qaraar zehra
ye gham ki hai...
wo kaisi khushiyon ka tha zamana
nabi ka gulshan bhara hua tha
khiza juhin ghar mein tere aayi
chali gayi sab bahaar zehra
ye gham ki hai...
ali ka waaris abhi hai zinda
bober zahoor uska hoga ek din
baqi mein hogi aza e sarwar
banega tera mazaar zehra
ye gham ki hai...