Haaye abid e beemar, Haaye abid e beemar
Sarwar ke sogwaar, Haaye abid e beemar
1. Baad e hussain ahl e haram qaid hogayi’n Aur karbala se sham rawaana kiye gayi’n
Hai qaafila saalar, Haaye abid e beemar
2. Touq aisa tha garden me, sar nahi uth paata
Bedhi ki tapish tujhko, tadhpaati hai beta
Aye sheh ke azadar, Haaye abid e beemar
3. Kaanto’n pe chalaaya gaya, paidal kayi meelo’n
Hai jism e Mubarak pe lage zakhm hazaaro’n
Marham nahi darkaar, Haaye abid e beemar
4. Bazaar me logon ne patthar bhi lagaaye Aur khaulta paani bhi mal-oon giraaye
Sehta raha jarrar , Haaye abid e beemar
5. Darbaar me jaana hai rida paas bhi nahi
Is waqt musibat me abbas bhi nahi
Rota hai zaar o zaar, Haaye abid e beemar
6. Jab hoke reha
Meer
watan me gaye sajjad Aur asghari kehte rahe hum hogaye barbaad
Mare gaye ansaar , Haaye abid e beemar
Kalaam : Meer Kumai ALi