1. taboot par taqi asws. ke zehra ka marsiya hai.
zalim l.a, ne be gunaah ko zehre dagha diya hai.
2. angoor khake mera bacha tadap raha tha.
zehre dagha se uska tukde jigar hua hai.
3. chat par pada hua tha laasha mere taqi asws. ka.
sab beqabar thi ummat rehbar guzar gaya hai.
4. saansein ukhad rahi hai dadi sa. madad ko aao.
jawad ka wo kehna mujhko rula raha hai.
5. mayyat pe sar barehna qud baap ro raha hai.
allah re taqi asws., ka gham baap ko mila hai.
6. ummul fazal ne maara dhoke se zeher deke.
ghurbat hai yeh taqi asws. ki usko bhi yeh pata hai.