Kanz e Aza

Qatil Taqi ke Khoon

A noha for Mohd Taqi (a.s), written by Mohammad Jamani. Lyrics in Roman Urdu.

qatil taqi ke khoon ka talabgar hogaya

ghar sayyeda ka phir say azadar hogaya

qatil taqi ke khoon ka...


badla hai kaisa waqt watan chodna pada

yasrab mein saans lena bhi dushwar hogaya

qatil taqi ke khoon ka...


kal tak ghame raza se jigar taar taar tha

aur aaj dil taqi ka azadar hogaya

qatil taqi ke khoon ka...


pardes mein khud apni hi ghurbat ko dekh kar

taaza ghame hussain phir ek baar hogaya

qatil taqi ke khoon ka...


phir se hua hai takht e nasheen koi badnasab

phir qatl koi saahib e kirdaar hogaya

qatil taqi ke khoon ka...


maloon mohtasim ke iraade na chup sakay

aale nabi se bughz ka izhaar hogaya

qatil taqi ke khoon ka...


rauza ghareeb toos ka gham se laraz gaya

ibne raza pe zulm ka jab waar hogaya

qatil taqi ke khoon ka...


jab zehr se taqi ke badan mein hua asar

turbat mein mujtaba ka dilafgaar hogaya

qatil taqi ke khoon ka...


bayt e ali mein goonji sada wa mohameda

sun kar jise khud arsh bhi ghamkhwar hogaya

qatil taqi ke khoon ka...


aankhon se khoon behne laga kazmeinn mein

jis dam jawad imam ka zawwar hogaya

qatil taqi ke khoon ka...