Kanz e Aza

Baghdad ki Zameen Pe

A noha for Mohd Taqi (a.s), written by Wila Hallauri. Lyrics in Roman Urdu.

baghdad ki zameen pe matam taqi ka hai

zahra jigar figaar hai wo gham taqi ka hai

baghdad ki zameen pe...


aaj aagayi qaza ko bhi maula hassan ki yaad

tukde jigar hua wohi aalam taqi ka hai

baghdad ki zameen pe...


har ek muhib hai chaak gareban basad buka

matam kuna ba-deeda e purnam taqi ka hai

baghdad ki zameen pe...


chaayi naqi ke sar pa yateemi ki ek ghata

hai aaj sogwaar jo humdam taqi ka hai

baghdad ki zameen pe...


zakhmi dil e batool tha ummat ke zulm se

us par mazeed dard ye paiham taqi ka hai

baghdad ki zameen pe...


tareekiyan ghamon ki zamane pa cha gayi

dunya siyah posh hai matam taqi ka hai

baghdad ki zameen pe...


hoti hai ashk baar ujalon ki anjuman

uth'ta jo aaj noor e mujasim taqi ka hai

baghdad ki zameen pe...


misle raza ghareeb e watan thay bine raza

jab zehr e mohtasin se ruka dam taqi ka hai

baghdad ki zameen pe...


sad paash dil pa khaare masayib ki hai chuban

rota hai khoon jahan mein jo mehram taqi ka hai

baghdad ki zameen pe...


maula hussain hoke azadaar aaye hai

shiyon ye gham na hashr se kuch kam taqi ka hai

baghdad ki zameen pe...


bughze ali ke zehr ka koi nahi ilaaaj

barsa jo ashke gham wohi marham taqi ka hai

baghdad ki zameen pe...


az farsh taaba arsh bapa majlisein hai aaj

ahle wila mein dard muqaddam taqi ka hai

baghdad ki zameen pe...