Kanz e Aza

Ghame Baqir

A noha for Imam Mohd Baqar (a.s), written by Wila Hallauri. Lyrics in Roman Urdu.

momino utha janaza

baqir e mazloom ka

qatle na-haq kalmago ne

phir kiya masoom ka

ahle arsh o farsh mein

mehshar bapa hai al amaan

gham se phat'ta hai kaleja

sadiq e maghmoom ka


gham e baqir mein roti hai khudayi

jafa ye kalmago ne kaisi dhaayi


yun phir hai gulshan e saadaat ujda

madina sog e baqir mein hai dooba

sar apna peet ke kehti hai farwa

yateemi jafar e sadiq pa chaayi

gham e baqir mein...


wo jis se rahmatein hoti thi naazil

ye ummat hogayi uski hi qaatil

bata aakhir hua kya tujh ko haasil

mawaddat kaisi ummat ne nibhayi

gham e baqir mein...


lehad mein fatema ko phir rulaya

sutoon e rauza e hyder hilaya

hishaam e bad nasab ne zulm dhaaya

duhaai ya muhamed hai duhaai

gham e baqir mein...


sada e haye wawaila lagaate

imam e ilm par aansu bahaate

chale hai marsiya qudsi sunaate

hai ta aflaak nauhon ki rasaayi

gham e baqir mein...


shahe yasrab zara khidmaat dekhein

di ummat ne nayi saughaat dekhein

gham o aazaar hai din raat dekhein

luti phir fatema ki hai kamaayi

gham e baqir mein...


sitam aisa hua aflaak roye

lehad mein sayyed e laulaak roye

hue jafar gareeban chaak roye

gira dil par hai ehsaas e judaai

gham e baqir mein...


wila e hyder e safdar ki khaatir

shahe mazloom ke maqtal ka zaakir

hua ruqsat wo karbal ka musafir

aziyat jis ne bachpan se uthaayi

gham e baqir mein...