KARBALA KA LENE INTEQAM KIJIYE ZAHOOR YA IMAAM
Zalimoun Ke Qabze Me Hai Aj Siriya
Qabre Binte Murtuza Ko Qaid Kardiya
Hogaya Udaas Sher-e-Shaam
Gham Me Shahe Ke Dil Hamare Doobe Jate Hai
Majliso Mei Aap Humko Yaad Aate Hai
Muntazir Hai Aap Ke Ghulam
Qabr Mei Nahi Hai Ab Bhi fatima Ko Chain
Zalimoun Ko Khall Raha Hai Matam-e-Hussain
Aake Kijiye Zulm Ko Tamam
Bekasoun Ke Karbala Ke Bhooke Pyasoun Ka
Binte Murtuza Ke Dono Shahzadoun Ka
Badla Aake Lijiye Imaam
Thokare Qadam Qadam Pe Khate Hai Hussain
Noujawan Ki Lash Youn Uthate Hai Hussain
Tha Laboun Pe Bawafa Ka Naam
Pherdi Gale Pe Shahe Ke Shimr Ne churi
Ediya Ragadna Shahe Ka Waqt-e-Aaqri
Bhool Hum Na Payenge Imaam
Faqr-e-Mustafa Aye Faqr-e-Yousuf-e-Hazeen
Baarwe Imaam Aye Ali ke Jaanasheen
Aap Per durood Aur Salam
Ho-Chuke Hai Ahle Baith Haye Darbadar
Dekhkar Nazare Ko Ye Nouke Naize Per
Khoon Rote Hai Shah-e-Anaam
Waris-e-Hussain Aab Zahoor Keejiye
Aake Mushkiloun Ko Dour Keejiye
Hyder Aap Ke Hai Ghulam