kouno maka'n me ghul hai bapa wawaila, kargaye baqar aaj qaza wawaila
mit gaya haye haye aaj jaha'n se , naamo nishaane zainulleba wawaila
qabr me hai bechain hyder wawaila, roohe payambar hai muztar wawaila
pote ke gham me qaak basar hai, roohe janaabe qairunnisa wawaila
deen ke sulta'n ko maara wawaila, sarware zeeshaa'n ko maara wawaila
kehte hai sab ansaaro mawaali, peet ke sar ye aaho buka wawaila
haaye hue paida jab se , ranjo alam sehte hi rahe wawaila
karbobala me qatl hua sab , saamne aankho me kunba wawaila