kufa udaas hogaya maula khamosh hai
surki rukhe falak pe hai kaaba khamosh hai
meraj ki hayaat ka lehja khamosh hai
unneesvi ki subho ka taara khamosh hai
mehraab ashk baar hai ajra khamosh hai
kufa udaas hogaya...
tanzeem e kayenat ki surat bigad gayi
be-aasra hayaat ki basti ujad gayi
chehre udaas hogaye raunak bichad gayi
bechain zindagi ka maseeha khamosh hai
kufa udaas hogaya...
maula ne jo kaha tha haqeeqat bayan hui
ahle haram pe subhe qayamat ayaan hui
zainab se karbala ki musibat ayaan hui
dekha behan ne bhai ka chehra khamosh hai
kufa udaas hogaya...
bechain hai ghulam ke aaqa nahi rahe
rote hai sab yateem ke maula nahi rahe
hasnain beqaraar hai baba nahi rahe
roohe rasool o fatema zehra khomosh hai
kufa udaas hogaya...
zakhmi jabeen fareed jo dekhi hussain ne
zainab se ek nigaah uthaayi hussain ne
ki ikhtiyaar phir jo khamoshi hussain ne
kya jaane kya khayaal mein aaya khamosh hai
kufa udaas hogaya...