lab pe jab murtuza nahi hota
hal koi masla nahi hota
kis khadar badnaseeb hota hai
jis ka mushkil kusha nahi hota
lab pe jab…
sach to ye hai baghair hubbe ali
koi sajda ada nahi hota
lab pe jab…
naam abbas ka tasadduq hai
warna naame wafa nahi hota
lab pe jab…
jang karte jo hazrate abbas
jaane kya hota kya nahi hota
lab pe jab…
sheh na hote to haq o baatil ka
hashr tak faisla nahi hota
lab pe jab…
roke kehte thay abide bemaar
dil se ye gham juda nahi hota
lab pe jab…
hote abbas kehti thi zainab
sar mera be-rida nahi hota
lab pe jab…