Kanz e Aza

Lekar Janaza Dosh

A noha for Imam Ali (a.s), written by Noor. Lyrics in Roman Urdu.

lekar janaza dosh pe shere khuda chale

daare fana ko chod ke jab mustufa chale


dunya ujad gayi ke madina ujad gaya

sadaat saath saath ye karte buka chale

lekar janaza…


nabiyon ka khatm hota hai dunya se silsila

ahmed chale jahan se kul ambiya chale

lekar janaza…


kya hogaya ali ko jo khamosh chal diye

rassi galay mein daal ke jab ashkiyan chale

lekar janaza…


sab jaante hai kya hua shabbar ki laash par

kya kya musibatein hui aur teer kya chale

lekar janaza…


karbobala ki aaj hi bunyad pad gayi

kisko bithaye takht par aur kis tarha chale

lekar janaza…


tay ho raha hai kis tarha maare hussain ko

hai kaun aisa leke inhe karbala chale

lekar janaza…


barbaad kis tarha kare zehra ke baagh ko

toofan kis tarha ka aur kaisi hawa chale

lekar janaza…


noha ye noor ka hai sikandar ki hai zaban

padte hue har ek ye karke aza chale

lekar janaza…