imame waqt hai ranjeeda kaun sochega
aa kisi roz isi dukh pe ekhatte roye
yaad karke lutay ghar ka manzar
ro rahe hai imame zamana
khaake karbobala daale sar par
ro rahe hai imame zamana
tayrta hai nazar may wo manzar
chal raha hai namazi pe khanjar
waar hota hai sookhe galay par
ro rahe hai imame zamana
bhool sakte nahi jalte qaime
bhool sakte nahi taaziyane
bhoole kaise wo zainab ki chadar
ro rahe hai imame zamana
yaad hai unko ab bhi wo manzar
jab baraste thay pathar saron par
bibiyan shaam may thi khule sar
ro rahe hai imame zamana
yaad karke luti chadaron ko
yaad karke safar ke dukhon ko
yaad karke sakina ke gowhar
ro rahe hai imame zamana
yaad karke wo ghazi ke baazu
yaad karke wo akbar ke gaysu
yaad karke wo zulme sitamgar
ro rahe hai imame zamana
zikre karbobala ho raha hai
aaj saara jahan ro raha hai
aake khud aaj farshe aza par
ro rahe hai imame zamana
al ajal al ajal kehne walon
apne aamaal ko bhi to dekho
ba khuda ghaib may aaj tum par
ro rahe hai imame zamana
ghaib may kar rahe hai duwayein
jald ghaibat se baahar wo aayein
badla karbal ka le jald aa kar
ro rahe hai imame zamana
aankh mere qalam ki hui nam
kar rahi hai ye tehreer matam
noor nauha raqam ho ye kyunkar
ro rahe hai imame zamana