abbas e alamdar wafaon ka khuda hai
hyder ki tamanna hai to zehra ki dua hai
islam ki sheh-rag mein hai khoone dile shabbir
saanson mein rawan parcham e ghazi ki hawa hai
alamdare lashkare hussain
naam abbas hai zehra ki tamanna mai hoo
sher e khaaliq ki duaon ka nateeja mai hoo
hashmi khoon ki jurrat ka asasa mai hoo
pyas pani ki bujhe jis se wo darya mai hoo
mai hoo ghairat ka khuda
mai hoo zehra ki dua
mai alamdare wafa
mai hoo zainab ki rida
saani e shere khuda hoo mai
alamdar hoo mai
alamdare lashkare...
fatema zehra ki dukhtar ne mujhe maanga hai
sayyeda binte payambar ne mujhe maanga hai
karbala ke liye sarwar ne mujhe maanga hai
rab se har sajde mein hyder ne mujhe maanga hai
mai hoo khaaliq ki ata
mai ali ki hoo dua
mai alamdare wafa
mai sakina ka chacha
apni taqleeq mein allah ka shaah-kaar hoo mai
alamdare lashkare...
apne khadmon mein zamane ko jhuka sakta hoo
karbala mein tumhe khyber mai dikha sakta hoo
apne naize ko mai talwaar bana sakta hoo
sab ko ek waar mein dunya se mita sakta hoo
mai bhi hoo sher e khuda
hashr kardoonga bapa
mai alamdare wafa
maut ki dar se ghata
tum pukaroge khud hydere karaar hoo mai
alamdare lashkare...
kisme jurrat hai ke roke mera rasta koi
aaj tak saamne mere nahi tehra koi
hoga fin-naar agar saamne aaya koi
aa nahi sakta khareeb e shahe waala koi
mai bhi hoo sher e khuda
quwwate shahe huda
mai alamdare wafa
sab ko kar doonga fanaah
kufr ki raah mein ek aahni dewaar hoo mai
alamdare lashkare...
mai mita sakta hoo ek lamhe mein tum sab ka nishan
hashmi khoon hai kya tum pe ye kardoonga ayan
hukm doo mai to abhi nehr khud aajaye yahan
izn shabbir agar de to ulat jaaye jahan
mai hoo marzi e khuda
la fata ki hoo dua
mai alamdare wafa
mere khadmon mein jahan
apne maula ki razaon ka talabgaar hoo mai
alamdare lashkare...
ay sakina tera gham zainab e dilgeer ka gham
maa ka gham behno ka gham asghare baysheer ka gham
chadar e zehra ka gham chadar e tatheer ka gham
khoon rulaata hai mujhe hazrate shabbir ka gham
al atash ki ye sada
mashq ka qalb chida
mai alamdare wafa
aankh mein teer e jafa
hai ye zanjeer e alam jisme giraftaar hoo mai
alamdare lashkare...
haye sakina ye tera rona rulaata hai mujhe
pyas mein tera tadapna ye satata hai mujhe
jang karne se mere maula ne roka hai mujhe
hukme shabbir ki zanjeer ne baandha hai mujhe
mai bhi dikhlaata vigha
karta dushman ko fanaa
mai alamdare wafa
tujhpe hoti na jafa
ay sakina bada majboor hoo lachaar hoo mai
alamdare lashkare...
hai yehi noor ali hazrate ghazi ki sada
shaah ke gham mein bichate hai jo farshe aza
nauha o majlis o matam mein jo rehte hai sada
dil mein aabaad jo rakhte hai ghame karbobala
qalbe wo gham ki ziya
baabe haajat ho ata
mai alamdare wafa
mai bhi hoo unka kusha
aise sab logon ka har gaam mein madadgaar hoo mai
alamdare lashkare...