hashr me bain-e-fatima sunkar
karb ka bangaya hai ek manzar
ambiya keh rahe hain ye rokar
allah allah hussain ki ghurbat
the jo zainab ke aankh ke taare
aun-o-jaffer ke aaye jab laashe
ho gaye maamu pe fida kehke
sajda-e-shukr karti hai madar
chand lamhou'n ki thi dulhan kubra
haaye ye zulm hogaya kaisa
ran me pamaal hogaya dulha
bain karti hai karbala rokar
tha jo ham shakle mustafa akbar
zulm zaalim ne ye kiya us par
us ke barchhi lagaayi seene par
laashe kadiyal jawa'n thi aur sarwar
gurz sar per laga hai ghazi ke
haath tan se juda hai ghazi ke phir bhi lab par sada hai ghazi ke
rehgayi pyaasi shaah ki dukhtar
tha jo chhe maah se bhi kam uska
teere seh shoba se gala chheda
haaye phir uska hai gala kaata
qabr-e-besheer dhoond kar aakhar
mat chala is gale pe aye zalim
ehteraam iska sab pe hai lazim
bosagahe rasool hai zalim
roke kehta tha shumr ka khanjar
aayi sham-e-ghareeba'n jab ban me
bikhre laashe pade the sab ran me
thi sakina ke aag daaman me
ghash me hai haaye abid-e-muztar
aale ahmed ko karke be parda
darbadar le gaye gali kucha
sab shaheedou'n ke sar sare naiza
us pa ek phool sa sare asghar
haaye bazar-e-shaam jab aaya
kaha zainab ne roke aye fizza
hai sakina kaha'n meri dukhiya
lagna jaaye kahi'n usey pathhar
tha ye darbar -e-shaam ka manzar
tasht me tha rakha sar-e-sarwar
touq-o-bedi me abid-e-muztar aur binte ali thi be chadar
sabr e sajjad ho baya'n kaise
chalke kantou'n pe khaaye hain durre
sare naiza sar e pidar dekhe
hoke sajjad marziye dawar
karke baba ko yaad wo nada'n
margayi qaid me sakina jaa'n
jisko rota hai aaj tak zindaa'n
waa sakina ki hai sada dekar
qaid se jab huwe riha zainab
pehle pohnchi hai karbala zainab
karne chehlum wo bhai ka zainab
jiska laasha hai ab talak be-sar
jab madine ko khafila lauta
kaha zainab ne fatima sughra
lutgaya ghar bhara huwa beta
had to hai ke na raha asghar
kaha maa ki lahad pa zainab ne
amma tum ko batau'n mai kaise
amma ham par wo hai sitam guzre
reesma'n ke nashaa'n hai bazu par
apni aankhou'n me hai basi karbal
yaad-e-shabbir me hai dil bekal
hai ye saqqe ki anjuman ajmal
saare kehte hai'n bas yahi rokar