Kanz e Aza

Allah Baqi Min Kulle

A noha written by Bilal Kazmi. Lyrics in Roman Urdu.

shaahe huda ki tashna dahani

allah baaqi min kulle faani


poocho na manzar dashte bala ke

hai khaak pe tadpe pyason ke laashe

roti rahi darya ki rawani

allah baaqi min...


kadiyal jawan ke ay nauha khwanon

itna to socho ay naujawanon

akbar ka seena barchi purani

allah baaqi min...


nazron mein yun andher jahan hai

hai baap zaeef aur laashe jawan hai

thaame jigar hai zehra ka jaani

allah baaqi min...


gham mein tumhare rote rahenge

ashkon se moo ko dhote rahenge

baaqi hai jab tak aankhon mein pani

allah baaqi min...


hai khushk lab aur sookha gala hai

khanjar bhi ruk ruk ke chal raha hai

kaisi hai sheh ki tashna dahani

allah baaqi min...


nanhe mujahid ay jaane maadar

pyaas ke aalam mein tu ne asghar

has ke utaara teeron ka pani

allah baaqi min...


jab yaad aaya baba ka seena

faryad karti ro ro sakina

ran mein tadapta zehra ka jaani

allah baaqi min...


tum kya sidhare ay mere beta

ruqsat hua aankhon ka ujaala

kis kaam ki hai ab zindagani

allah baaqi min...


kehdo bilal o aamir ye badh kar

khaayi unhone dar dar ki thokar

bhoole hai jo gham ki kahani

allah baaqi min...