sarwar ki shahadat ka andaz nirala hai
allah hi allah maula hi maula
sogh manalo dunya walon
allah hi allah maula hi maula
karbobala mein sheron ka ek hi naara hai
sar kat ke shahadat ka andaz nirala hai
sogh manalo dunya walon
allah hi allah maula hi maula
sher gira abbas gira ran saara kaampa hai
gumbat masjide nabawi ka sog mein girya hai
sogh manalo dunya walon
allah hi allah maula hi maula
chirage hassan bhi kafan sar se baandhe
chale karbala ko chale
nishani hassan ki dulha ran mein banke
lade karbala mein lade
ibne hassan qasim ka tan paara paara hai
dulhan ki taqdeer ka dooba taara hai
sogh manalo dunya walon
allah hi allah maula hi maula
akbar ki jawani ka bas khatam fasana hai
misle payambar akbar si khoon mein dooba hai
sogh manalo dunya walon
allah hi allah maula hi maula
sab se badi ibadat hi matam karna hai
matam ki muqaalif se ab kya darna hai
sogh manalo dunya walon
allah hi allah maula hi maula
mashke sakina ka ab se abbas sahara hai
pyason ki har aas ka abbas sahara hai
sogh manalo dunya walon
allah hi allah maula hi maula