Kanz e Aza

Allahu Shafi Be Haqqil Hussain

A noha for Imam Hussain (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

Allah,, Allah, Allah

Allaho Shafi Allaho Kafi

Sadqay May Maula Hussain Kay

Ho Koi Maraz Ya Koi Bala


Kaam Ayegi Bas Yeh Hi Sada

Weran Thi Zamin E Karbobala

Shabbir Ka Khoon Jab Is May Mila

Yeh Khaak Bani Phir Khaak E Shifa


Is Khaak Pe Wajib Hay Sajda

Deta Hay Sada Yeh Ashoora

Mola Ki Zamanat May Dey Key

Hum Say Yeh Kaha Hay Maaoun Nay


Hum Khalq Huey Is Gham Ky Liye

Shabbir Ka Matam Kr Beta

Jee Chahye Jitna Khoon Baha

Zakhmo Say Badan Sab Choor Hua


Lab Per Na Shikayat Hay Na Gilaa

Hay Dard Yahan Per Misley Dawa

Yeh Sirf Bahatter (72) Per Hy Khola

Shabbir Pey Mar Jana Hay Shifa


Hussain Haey Hussain Shah Hussain

Haey Akber

Seene May Lagi Jis Dam Barchi

Medaan May Qaza Bhi Roney Lagi


Zainab Pey Qayamat Toot Gai

Akber Ney Jigar Ko Thaam Liya

Behtey Huey Khoon Ney Di Yeh Sada

Haey Asghar....


Jis Wakt Galay Per Teer Laga

Tha Maa Kay Laboun Per Shukr E Khuda

Bano Nay Dar E Khaymaa Say Kaha

Yeh Teer Nikalynge Baba


Ghabrana Nahi Asghar Beta

Sakeena Haey Sakina...

Halaat Ajab Thay Ghurbat Kay

Rukhsar Thay Neelay Bachi Kay


Gohar Bhi Laeen Nay Cheen Liye

Kano Say Laho Jab Behne Laga

Zainab Nay Sakina Say Yeh Kaha

Qurban Takallum Ho Us Per


Sajjad Ka Tha Yeh Zakhm E Jigar

Maa Behne Phopi Thi Be Chadar

Bazar May Khoon Bhi Rota Raha Aur Zakhmi Laboon Say Kehta Raha

Haey Haey Shaam


Haey Haey Shaam

Karbala Kay Baad Bhi Tum Syed E Sajjad Ho

Dosra Hota To Keh Deta Khuda Koi Nahi