alwida ay behan alwida
bole shaahe zaman alwida
qatl ka mere lamha khareeb aa gaya
ek andhera sa charon taraf cha gaya
waqt se pehle suraj bhi gehan aa gaya
mai hoo tanha mera har sahara gaya
alwida ay behan...
chalte chalte faqat tumse hai ek sawaal
meri pyari sakina ka rakhna khayal
bin mere zinda rehna hai iska mohaal
meri bachi ko hone na dena malaal
alwida ay behan...
jab girun apne ghode se suye zameen
aur jhuka dun mai sajde may apni jabeen
mujhko zibha karega jo shimre laeen
tum na aa jana qaime se bahar kaheen
alwida ay behan...
mere kunbe ki ab ho tumhi paasban
hai mera janasheen laaghar o natawan
raahe koofa hai zanjeer aur bediyan
ab tumhare hawale hai ye karwan
alwida ay behan...
lootne aaye qaimon ko jab ashqiya
ho sake to bacha lena apni rida
sabr karna na karna kabhi bad'ua
har qadam par madadgaar hoga khuda
alwida ay behan...
yun na gardish may aaya sitara kabhi
yun hue thay na hum be-sahara kabhi
saat ek pal na choota hamara kabhi
ab na aayega bhai tumhara kabhi
alwida ay behan...
ay behan aisi bhi aayegi rehguzar
jab mile tumko raste may shireen ka ghar
aur pehchanle tumko shireen agar
kehna waada hua poora ay khudsiyar
alwida ay behan...
sogaye khaak par tashnalab shaahe deen
jalgaye qaime aur chadare chin gayi
hogayi khaali shabbir se ye zameen
ek sadaye alam aaj tak hai yahin
alwida ay behan...
bhej mehshar gharibul watan par salam
tashnalab qastatan bekafan par salam
sheh ke ansaar par panjatan par salam
ek bhai pe aur ek behan par salam
alwida ay behan...