Kanz e Aza

Ashoor ka Manzar

A noha for Shaam e Ghareeba, written by Mehshar Lakhnavi. Lyrics in Roman Urdu.

ashoor ka manzar hai aur zainab


kuffar ka lashkar hai aur zainab

ashoor ka manzar hai aur zainab


asbab lut chuka hai qaime bhi jal chuke hai

aur zulm o sitam ki soorat aahon mein dhal chuke hai

ek laashaye besar hai aur zainab

kuffar ka lashkar hai…

ashoor ka manzar hai…


bhai ki laash ran mein uriyan padi hui hai

aur hamsheer sar barehna be aasra khadi hai

ab sogh ki chadar hai aur zainab

kuffar ka lashkar hai…

ashoor ka manzar hai…


nana ki qabr chooti haye watan bhi choota

tha wo ghar jo fatema ka kal tak basa hua tha

ujda hua wo ghar hai aur zainab

kuffar ka lashkar hai…

ashoor ka manzar hai…


qasim ki laash dekhi akbar ki laash dekhi

aur abbas e ba-wafa ki asghar ki laash dekhi

ab laashaye biradar hai aur zainab

kuffar ka lashkar hai…

ashoor ka manzar hai…


sholay bhadak rahe hai gulzar e panjetan mein

ahle haram ke baazu baandhe hai ek rasan mein

islam ka lashkar hai aur zainab

kuffar ka lashkar hai…

ashoor ka manzar hai…


phayle huye hai har soo veeraniyo ke saaye

zainab ki ek jaan hai kis kis ka gham uthaye

bemaar hai langar hai aur zainab

kuffar ka lashkar hai…

ashoor ka manzar hai…


koofe ki shahzadi sar par rida nahi hai

ye haal hai ke koi pehchanta nahi hai

darbar e sitamgar hai aur zainab

kuffar ka lashkar hai…

ashoor ka manzar hai…


na mehramo ki nazrein padti hai jab haram par

sharm o haya se zainab bechain har qadam par

har gaam ek nashtar hai aur zainab

kuffar ka lashkar hai…

ashoor ka manzar hai…


mehshar quloose dil se kar zikr panjetan ka

likh apne aansu'on se noha shahe zaman ka

phir tera muqaddar hai aur zainab

kuffar ka lashkar hai…

ashoor ka manzar hai…