azaan hai mustufa aur murtaza meri iqamat hai
yehi mazhab hai mera aur yehi meri ibadat hai
ye kyun shabbir ki daryadili par hurr ko hairat hai
khatayein baksh dena is gharane ki to aadat hai
azaan hai mustufa...
aseeri beridayi hai atash hai sar hai naizon par
zara dekho nabi ki aal par kaisi qayamat hai
azaan hai mustufa...
sahara do zara abbas aa kar apne bhai ko
zaeefi hai nakahat hai jawan bete ki mayyat hai
azaan hai mustufa...
isay to dedo pani sheh ye farmate thay aada se
bhala cheh maah ke bacche se tum ko kya adawat hai
azaan hai mustufa...
yahan hai karbala uqba mein hai baaghe iram mehshar
yahan bhi ek jannat hai wahan bhi ek jannat hai
azaan hai mustufa...