azaan ki kokh ujdi maa ko jab awaaz aati hai
to har takbeer par laila pachade gham se khaati hai
nikal jayega seena tod kar jaise abhi baahar
kaleja apna maa haathon se kuch aise dabati hai
azaan ki kokh ujdi...
kisi ne poocha jab ehwaal laila se to yun boli
pisar mar jaaye jis maa ka wo kab aaram paati hai
azaan ki kokh ujdi...
chutay kadiyal jawan jis maa se aur shauhar bhi mar jaye
wo bewa har nafas apni qaza ko hi bulaati hai
azaan ki kokh ujdi...
bulalo paas apne maa ko ye jeena bhi jeena hai
tumhari yaad har lamha hamay aa kar sataati hai
azaan ki kokh ujdi...
jawan bete ki maa se poocho kitni hoti hai chaahat
tasavvur mein na jaane kya kya wo armaan sajaati hai
azaan ki kokh ujdi...
koi baccha kahin rota tadap kar kehti thi bano
mere asghar ke rone ki suno awaaz aati hai
azaan ki kokh ujdi...
dua deti hai zehra aa ke jannat se anees unko
ke jinko nauha o matam mein wo mashghool paati hai
azaan ki kokh ujdi...