qaimon mein aag lag gayi baba nahi aaye
chadar phupi ki cheen li baba nahi aaye
kis karb se pukara sare dashte karbala
ammu ne bhi khabar na li baba nahi aaye
qaimon mein aag...
royega shab mein chaunk ke asghar to layenge
laila dekhti rahi baba nahi aaye
qaimon mein aag...
maare tamache shimr ne durr mere cheen kar
behre madad pukara ki baba nahi aaye
qaimon mein aag...
asghar ka jhoola jal gaya durre bhi kha chuke
masnad nabi ki jal gayi baba nahi aaye
qaimon mein aag...
ab aayenge ab aayenge is intezar mein
shab ko mai jaagti rahi baba nahi aaye
qaimon mein aag...
dene ko pehra dast e bayaban mein anees
misle chacha phupi bani baba nahi aaye
qaimon mein aag...