wa min tehril le ya ali kadam enaa
haye abbas haye abbas
aapke baad na hum raaton ko soye bhaiya
kam hui aankhon ki beenayi jo roye bhaiya
wa min tehril...
haye abbas...
kitna abbas tha raub o jalaal aada par
raaton ko so nahi sakta tha yazeedi lashkar
wa min tehril...
haye abbas...
chain se sotay thay jo log wo hai ab bedaar
khatm sab hogaye ansar o azeez aur ghamkhaar
wa min tehril...
haye abbas...
koi saydani nahi soti thi aisa tha hiraas
hota tha zulm jo bachon par ko kehte abbas
wa min tehril...
haye abbas...
tum to darya pe pade sote ho ay shere jari
raat din rehte hai yahan naala o shewan may sabhi
wa min tehril...
haye abbas...
phir na soyi kabhi saydaniya gham ki maari
haye maqtal may hui is tarha shab be daari
wa min tehril...
haye abbas...
mar gayi qaid may ro ro ke sakina pur gham
karti rehti thi shab o roz buka aur matam
wa min tehril...
haye abbas...
pad gayi jab ke madine pa anees unki nazar
marsiya padti thi kulsoom yehi ro ro kar
wa min tehril...
haye abbas...