Kanz e Aza

Haye Chacha Abbas

A noha for Moula Abbas (a.s), written by Anees Pehersari. Lyrics in Roman Urdu.

ek riwayat mein hai ke baade aseeri sajjad

pahunche hijaaz se jab maaria mein zainuliba

dekha ke qabre wahan khodte hai kuch afraad

baqi masroof hai dafnane mein karke faryaad

aapne laasha e farzand e nabi dafnaya

qabr mein laasha e abbas ko bhi pohanchaya

yan qabeela e asad karta hai is tarha bayan

qabr se jab na chacha ki hue sajjad ayan

humko tashveesh hui qabr mein dekha jo wahan

laash se lipte hue karte hai sajjad fughan

aap ke baad chacha aisi tabahi aayi

qatl baba hue maare gaye saare bhai


haye chacha abbas haye chacha abbas

koi nahi hai paas haye chacha abbas


baad tumhare amme dilawar

barchi se cheda seena e akbar

laasha utha kar laaye sarwar

gham se bapa tha qaime mein mehshar

haye chacha abbas…


asghar pe tha pyaas ka ghalba

pani pilane le gaye baba

ahle jafa ne rehm na khaaya

pani ke badle teer lagaya

haye chacha abbas…


ran mein bana kar turbate asghar

sar ko jhukaye behad muztar

aaye shahe deen qaime ke dar par

haal ye tha pehchani na khaahar

haye chacha abbas…


baba ne dekhi jo ye haalat

dil bhar aaya hogayi riqqat

naam har ek ka leke ba ulfat

kehne lage hai tumse bhi ruqsat

haye chacha abbas…


sunke phuphi awaaze biradar

lipat gayi majaye se jaa kar

farmeina phir bhai se ro kar

haal hai ye kis waaste abtar

haye chacha abbas…


sibte nabi ne tab farmeina

asghar ne ek nawak khaya

khoone pisar chehre pa lagaya

ran mein usay maine dafnaya

haye chacha abbas…


kaise kahoon ay sheh ke biradar

chal gaya halq e shaah pe khanjar

jal gaye qaime aur mera bistar

chin gayi maa behno ki chadar

haye chacha abbas…


koi anees apna nahi baaqi

aada ne mujhko pehnayi

tauq o salasil hatkadi bedi

jakdi rasan se zehra ki jaayi

haye chacha abbas…