hilale mahe moharam pe pad gayi jo nazar
to yaad aa gaya zehra ke laal ka wo safar
raqam ho kis tarha phat'ta hai gham se qalb o jigar
watan se ruqsat e aakhir ka phir gaya manzar
lipat lipat ke wo sughra ka baba se israar
mujhe bhi saath mein le kar chalo shahe abraar
suna raha hoo suno dastane dard o alam
ye kiske gham mein hai masroofe girya-o-matam
ye kaun tha jise rote hai is tarha se hum
bafaize shahe shaheeda karoon jawab raqam
aza ka maah isi maah ko jo kehte hai
hilal dekh ke chote bade wo rote hai
yazeede faasiq-o-faajir ki jab na bayyat ki
to aur bad gaya jo bugz dil mein tha zaleel
samajh raha tha pase parda kya hai haq ka wali
safar ka faisla karne mein kuch na dayr lagi
watan chutay to chutay hurmate madina rahe
mai hoo na hoo magar islam ka kareena rahe
mai sab batata chaloon kaun tha ye haq ka wali
hai uska naame gira aur hussain ibne ali
rajab ke maah mein do din thay baaqi aur abhi
chala madine se makke ki simt sipte nabi
wahan bhi dekh ke aba mein chipe hue khanjar
libaase haajiyon mein tha wo sham ka lashkar
hazaron dushmane jaan dar libase dost milay
baqa e kaaab thi peshe nazar na kate galay
ye sochte thay ke sailaab e kufr kaise talay
badalke umre mein hajj ko ba dard-o-yaas chalay
abhi thay raah mein koofe ki jo ye aayi khabar
ke qatl hogaye muslim wahan ni qasta jigar
ye sunke tha shahe abraar ko bahot sadma
bulaake hazrate abbas ko ye hukm diya
bajaye kufa koi aur raah lo bhaiya
bala se dasht ho sehra ho jo khuda ki raza
ye kufe waale farebi hai aur jhoote hai
hamare saath mein kuch bibiyan hai bache hai
gharaz ke teen moharam ko nainawa pahunche
tamaam khaafile ke saath mustufa pahunche
malaik aur ajina o aur ambiya pahunche
hassan ke saath zehra-o-murtaza pahunche
hussain ne rakhe karbobala mein apne khadam
nidae ghaib ye aayi ke tere saath hai hum
huwe thay teen shab-o-roz thi na aabo ghiza
jo aayi mahe moharam ki subhe aashura
sagheer bachon ka tha ghair haal had se siwa
buland hoti thi qaimon se al-atash ki sada
layeen dikhate thay pani ko aur bahaate thay
nabi ki aal ko lekin nahi pilaate thay
anees aale mohamed ka hai to royega
na chain din ko milega na shab ko soyega
ye zaade raahe haqeeqi hai kaise khoyega
ye haq hai baad mein ehsaas tujhko hoyega
rafeeq wo nahi jo gham mein saath ko choday
khushi mein saath ho lekin alam mein moo moday