Kanz e Aza

Jab Chand Moharram

A noha for Ibtedaye Ayyam e Aza. Lyrics in Roman Urdu.

jab chand moharram ka dekha

mazloom ka khissa yaad aaya


yasrab ki udaasi yaad aayi

aur ujda madina yaad aaya


dekha jo mahe nau gardoon par

khoon behne laga aansu ban kar

naize ki ani ke saath jawan

bete ka kaleje yaad aaya

yasrab ki udaasi...


qaabu na raha kuch bhi dil par

seene mein laga gham ka nishtar

jab chand ko dekha misle kamaan

baysheer ka khissa yaad aaya

yasrab ki udaasi...


maqtal mein jo pahunchi fauje khuda

tharrayi zameen gardoon kaampa

shabbir ko sehra yaad aaya

abbas ko darya yaad aaya

yasrab ki udaasi...


haathon se kaleja thaam liya

aur dekh ke maqtal ko roye

jab sarwar e deen ko waqte safar

sughra ka tadapna yaad aaya

yasrab ki udaasi...


jab bazme hussaini mein dekha

lehrate huwe parcham haq ka

darya ki taraayi yaad aayi

abbas ka shaana yaad aaya

yasrab ki udaasi...


naaqe se tadap kar maajayi

maqtal mein giri behosh hui

jab zer e falak be-gor o kafan

maajaye ka laasha yaad aaya

yasrab ki udaasi...


chaunk uth'ti thi sote mein aksar

raaton ko rabab e khasta jigar

zindan ke andhere mein usko

godhi ka ujaala yaad aaya

yasrab ki udaasi...


kufe mein jo pahunche aale nabi

pabande rasan thay sab qaidi

hyder ki dulaari beti ko

baba ka zamana yaad aaya

yasrab ki udaasi...