Kanz e Aza

Jab Ghir Gaye Kufe

A noha for Pisaraan-e-Muslim (a.s), written by Waiz Sultanpuri. Lyrics in Roman Urdu.

jab ghir gaye kufe mein muslim ke dulaare

pardes mein tanha thay taqdeer ke maare


dono bacchon ka wahan koi madadgaar na tha

sirf tanhaai thi yawar na thay ghamkhwar na tha

wo bhatakte rahe dar dar koi dildaar na tha

koi dono ki madad karne ko tayyaar na tha

thak kar ke jo girta tha kabhi chota baradar

chalta tha bada bhai usay godh mein le kar

jab ghir gaye kufe mein...


chote bhai ne bada bhai se ro kar poocha

bhaiya itna to batado ke kahan hai baba

hum musafir hai yahan koi nahi hai apna

hum ko pardes mein ab kaun sahara dega

har simt andhera hai kahan jayenge bhai

lagta hai hamay baba na mil payenge bhai

jab ghir gaye kufe mein...


raat kaali thi andhere mein wo dono bacche

sehme sehme huwe ek payd pa chup kar baithe

raat bhar lipte thay aapas mein wo gham ke maare

siskiyan lete thay aur rote thay chupke chupke

aahat jo koi hoti thi ghabrate thay dono

patte bhi khadakte thay to darr jaate thay dono

jab ghir gaye kufe mein...


ek kaneez aayi subah usko tha pani bharna

usne masoomon ka pani mein jo dekha chehra

dono bacchon se ye ghabra ke usi dam poocha

kaun ho aaye kahan se ho bata do itna

dono ne kaha zakhm bahot khaaye hai bibi

hum log madine se yahan aaye hai bibi

jab ghir gaye kufe mein...


naam yasrab ka suna jab to wo tadpi ek baar

leke bacchon ko chali ghar ki taraf wo deedar

jaa ke malkan se batane lagi sab haale zaar

momina ne kiya shehzadon ko ro ro kar pyar

kehne lagi darna na meri jaan ho dono

aaqa ke dulaaron mere mehmaan ho dono

jab ghir gaye kufe mein...


mutmaeen ho gaye jis waqt ke wo mahelaqa

le gayi bacchon ko hujre mein kaneez e zahra

khaana pani jo diya bacchon ka dil bhar aaya

saamne nazron k emaa baap ka chehra aaya

baba ke liye mehwe buka ho gaye dono

bin khaaye piye rote huwe so gaye dono

jab ghir gaye kufe mein...


haye muslim ke pisar chand sitaare dono

khwaab se chaunk ke utthe jo dulaare dono

aahein bharne lage hujre mein wo pyare dono

roye be-saakhta taqdeer ke maare dono

rone ki sada sun ke utha haaris e maloon

khanjar liye hujre mein gaya haaris e maloon

jab ghir gaye kufe mein...


dekha haaris ko to masoom bahot ghabraye

zulfein zaalim ne jo pakdi to jigar tharraye

le chala khaynchta masoomon ko zaalim haye

momina ne kaha haaris tujhe maut aa jaye

masoom hai pardesi hai in par na sitam kar

hyder ke guletar hai ye zahra ke guletar

jab ghir gaye kufe mein...


kitna maloon tha haaris ko taras na aaya

momina ki na suni ek usay qatl kiya

baal bacchon ke pakad kar wo sitamgar nikla

bacche kehte thay hamay maar ke kya payega

dirham tujhe dilwayenge jitna to batade

le kar ke madine hamay amma se milade

jab ghir gaye kufe mein...


le ke maloon yateemon ko neher pe pahuncha

taygh masoomon ko dikhla ke ye zaalim bola

tum hi batlao gala kaatun mai pehle kiska

chote bhai ne gala apna badha kar ye kaha

mai deta hoon sar tagh idhar mod de haaris

bas mere bade bhai ko ab chod de haaris

jab ghir gaye kufe mein...


phir bade bhai ne chote ko hataya badh kar

rakh diya apna gala taygh ke neeche ja kar

bola haaris se ki ehsaan ye karna mujh par

mere bhai ko dikha kar na chalana khanjar

maloon tha be-deen tha wo dushman e hyder

sar kaata bade bhai ka chote ko dikha kar

jab ghir gaye kufe mein...


chote bhai ne lahoo bhai ka dekha jis dam

lot kar khoon mein bhai ke wo tadpa pur gham

dekh kar suye nehr kehta tha kar ke matam

bhai tehro ke zara dayr mein aate hai hum

ye dekh ke maloon ne talwaar chalayi

aur hogayi bekas ke sar o tan mein judaai

jab ghir gaye kufe mein...


sar ko jab kaat chuka tan ko neher mein daala

chote bhai ki taraf bhai ka laasha aaya

haye shehzadon ka aapas mein jo lipta laasha

dono mazloomo ki mazloomi pe roya darya

waiz jo sitam dono yateemon pe hua hai

us zulm ko likh kar ke qalam kaamp raha hai

jab ghir gaye kufe mein...