koofe me aaj muslimme nachar haaye haaye
aada ke haath me hai giraftaar haaye haaye
tanha hai aap koofa ka koofa qilaaf hai
monis hai koi aur na ghanqaar haaye haaye
sar ho raha hai tan se juda begunaah ka
qushiya'n mana rahe hai jafakaar haaye haaye
koofe ke dar pa qaak udaati hai jo batool
hai be hawaas hydere karrar haaye haaye
muslim ke haale zaar ko karke mulaaheza
sar peet'te hai ahmade muqtaar haaye haaye
kya qahar tha ke muslime bekas ki laash ko
dar dar phira rahe hai sitamgaar haaye haaye