Kounain me hai ghul ke Payambar guzar gaye, Haq ke habeeb ashaqe dawar guzar gaye.
Ek kafera ne zeher Mohammed ko dediya, Sad haif iske sadme se Sarwar guzar gaye.
Hazrat pe qaak padhti thi pathar baraste the, Kya kya na zulm sehke Payambar guzar gaye.
Hussain qaak udate hai roti hai Fatima, Betaab Murtuza hai biradar guzar gaye.
Pyaro ko sheh ne rakh diya talwar ke tale, Ummat ka beda paar lagakar guzar gaye.
Zehra yateem hogayi bekas huwe Ali, Veera'n Madina hogaya Sarwar guzar gaye.
Betaab hai 'Hussaini' nawase Rasool ke, Daghe firaagh deke Payambar guzar gaye...