Kanz e Aza

Maatam hai bapa aaj rasoole arabi ka

A noha for Rasool-e-Khuda (s.a.w.s). Lyrics in Roman Urdu.

Matam hai bapa aaj Rasule arabi ka, Makki Madani Hashmi o Muttalabi ka.

Rote hai wasi Ahmade Muqtar ke gham me, Sadh chaak garebaan hai har ek Nabi ka.

Farmati hai Zehra ke batao mujhe Haider, Naqsha hai yeh kya aj Rasule arabi ka.

Hairat hai ke bistar pe woh yu chain se soye, Aadi ho na duniya me jo raahat talabi ka.


Kehte hai Ali bekaso beyaar hua mai, Afsoos sadh afsoos chuta saath Nabi ka.

Ab sabr karo Ahmade Muqtar ko Zehra, Bekaar hai ghul ibne abi ibne abi ka.

Kis tarah Nabi humko bhala chord na jate, Qaliq se payaam agaya din ko talabi ka.

Kounain ki Shahi hai tere ghar ki ghulami, 'Shoukat' ko na kyu faqr ho aali nasabi ka...