Kanz e Aza

Talwar Mat Uthana

A noha for Rasool-e-Khuda (s.a.w.s). Lyrics in Roman Urdu.

Jaanay Lagay Jo Chor Ke Duniya Ko Mustafa

Bhai Se Apne Ro Ke Wasiyyat Mein Yeh Kaha


Bole Nabi Ali Se, Badlega Yoon Zamaana

Talwaar Mat Uthana


Hoga Tumhara Kunba, Har Zulm Ka Nishaana

Talwaar Mat Uthana


Kaise Bataaoon Tum Ko Kuch Din Mein Tere Ghar Par

Yasrab Ke Sab Sitamgar Aayenge Aag Le Kar

Sholon Ki Zad Mein Hoga Jis Dam Tera Gharaana

Talwaar Mat Uthana


Darwaaze Ko Jala Kar Hamla Nahi Rukega

Zahra Pe Ik Shaqi Ki Tthoukar Se Dar Girega

Aayega Tere Ghar Mein Lashkar Jo Faatehaana

Talwaar Mat Uthana


Khud Apni Bekasi Par Roti Rahegi Zahra

Paamaal Dar Ke Neechay Hoti Rahegi Zahra

Hoga Jo Zaalimon Ka Us Par Se Aana Jaana

Talwaar Mat Uthana


Tum Ho Ghayoor Teri Ghairat Na Seh Sakegi

Lekin Khuda Ke Deen Ki Hurmat Bachi Rahegi

Jis Waqt Fatima Par Barsega Taaziyaana

Talwaar Mat Uthana


Main Jaanta Hoon Kya Hai Aulaad Ka Bicharna

Par Meri Fatima Ke Seenay Mein Dil Hai Maa Ka

Zahra Ke Saath Tum Bhi Mohsin Ka Gham Manaana

Talwaar Mat Uthana


Ehsaas Hai Mujhe Dil Naazuk Hai Betiyon Ka

Kab Dekh Paayengi Woh Gardan Pe Zakhm Tera

Har Haal Mein Tum Un Se Daagh-e-Rasan Chupaana

Talwaar Mat Uthana


Mere Nabi Ka Meesam Yeh Aakhri Sukhan Tha

Aey Sher-e-Haq Yehi Hai Haalaat Ka Taqaaza

Apne Sukoot Se Tum Deen-e-Khuda Bachaana

Talwaar Mat Uthana